12 Zentralrat der afghanischen Hindus und Sikhs
Aziz aur mehrban behno aur bhaio, aap sabh ko maloom hai ke Ekta ki Broschüre sabh vereino ka aaina hai. Jab ek verein mein koi ehm function ka verband ko pata chale, to Ekta mein uska zikar hum zaroori samajhte hain.
09.07.2005
Esi asel ke mad-e nazar, Verband ko Frankfurt ki verein ke election ka pata chala, aur Verband ke do members Frankfurt (Aasamai mandir) pohnche. Election bina kisi control aur qaide ke saath horaha tha, isi liye bina result reh gaya, aur ye natija samne aaya ke mandir ke memberan mein mandir ko lekar kafi ekhtelafe nazar hai.
29.08.2005
Verband ne apni mashoolyat samajh kar,ek khsoosi bethak ke douran, in ekhtelafon ko door karne ki koshish ki, jo zahern thik amal tha, lekin jaldhi pata chala ke mandir ke halat bigar rahe hain. Verband ne in halat ko thik karne ki har mumkin koshish ki aur akhir lazmi samjha gaya ke, sath mil kar ek dostana mahol mein, sabh ekhtelafat door kiye jayen.
30.09.2005
Hamburg mein Verband ki ek general meeting hui, jis mein khas bat ye rahi ke, Holand mein hamare logon ki verein ne bhi Verband ki membership hasil kar li.
16.10.2005
Verband ke tamam memberan ne Frankfurt mein ek jalse mein, jo wahan ki sangat ki taref se bulaya gaya tha, hisa liya. Is jalse mein Frankfurt ke mandir ko seel karne ke problem par qarib 4 ghante tak batcheet hui, aur dubara election hone par zor diya gaya.
18.10.05
Is Tarikh ko achanak pata chala ke shri Rajesh Kumar Kapoor aur unki patni police ki hirasat mein hain aur unhe Hamburg se Kabul (Afghanistan) bheja ja raha hai.Verband ne har kam se is problem ko ehm samajh kar, thode arse mein jo bhi mumkin tha kiya. Yahan tak ke Hamburg aur Frankfort ki Vereino aur logon ne demonstration (mozehera) bhi kiya. Lekin, uske bawajood Hamburg sarkar ne pehle shri Rajesh ji aur bad mein unki dharam patni ko bhej diya.
Is dardnak halat ke baad, Verband ne kahi bar khsoosi ejlas bolaye, aur fesla huwa ke, Dr. Chelaram Merzadah, Sunder Kumar Makar, aur ek journalist, Dr. Mustafa Danesh jiski report ko Germany mein ziada mehkmat mein mana jata hai, Kabul (Afghanistan) mein Hindu Sikh logon ki zindagi aur samaji halat ka jaiza lene, wahan jaye.
27.11.2005
Is silsile mein rai aama lene ke liye, ek prathna sabha jo Sanatan Hari Om mandir Köln mein dayer ki gayi thi, hesa liya jis mein Verband ki taraf se Dr. Merzadah, Dr. P. Piassa aur Gianchand Kapoor ne hazerin ko mokhateb kiya. Is jalse mein kahi aur logon ne bhi wapsi (abschiebung) ke ehm problem par bat ki jis mein shri Sagar Mehra, shri Mengh Raj Jawa, Pharm. Badri Nath Kakkar, aur shri Sajan Kakar ne bhi Isi problem ko made nazar rakhte huwe, Verband ke faisle ki hemayat ki .
04.12.2005
Ko dubara, Köln mein Verband ki general meeting bulayi gayi, jis mein Mustafa Danesh ne apne khyalat ka izhar kiya. Verband aur Vereino ke qarib har member ne apne nazaryat ka izhar kiya, aur Verband ke Afghanistan jane ke nazarye ko saraha. Is jalse ki do khsoosyate rahi, ek ye ke Frankfurt ki verein se bohut arse ke baad do memberon ne hisa liya, aur dusri ye ke do jawanon ko verband mein shamel kiya gaya, jo aayenda internet aur e-mail ke zarye achhe tariqe se samajh ki sewa ki ja sake, jawanon ki hosla afzayi ho ta ke ziada jawan humare saath samajhik sewa mein hisa le saken. unh jawano me se shri Wishal Mehra humare dayemi member ban gaye.
09.12.2005 – 17.12.2005
Dr. Merzadah aur Sunder Makar ne 09.12.05 se 17.12.05 tak Kabul (Afghanistan) mein Hindu Sikh aqalyat ki halat ka jayza liya aur journalist Mustafa Danesh ko Kabul ke mandir aur gurudwaron ki halat dikhayi aur logon ki zindagi, eqtesadi aur dharmik mushkilat aur problem se waqef karaya.
30.12.2005
Wapas aane par Dr Merzadah ne Köln mein Verband ka ek khsoosi jalsa bulwaya aur dusre membron ko apne safar ki guzarish di.
08.01.2006
Isi dawran Hari Om mandir Köln mein jo ek prathna path rakha gaya tha, uski samaphti ke din Verband ne isi mandir mein apni general meeting bulwayi aur sare vereino ke memberan ko apne safar ki tafsil di. Meeting ke waqfe mein, Verband ke members ne path samaphthi ke program mein hisa liya. shri Meng Raj Jawa, Dr. Merzadah aur Gianchand Kapoor ne sangat ko Afghanistan mein Hindu Sikh logon ke halat ki jankari di, aur isi silsile mein jo campaign jawano ne internet pe kiya tha, unhki sarahna karte huwe, logon se elteja ki ke apne jawano ko internet ke zarye is campaign mein hisa lene ki zaroorat par zor den.
Hum is khas maoqe par apne us ba dard aur ba ehsas jawanon ki sarahna kiye bina nahi reh sakte, jino ne senkro brief letters, aur baqi shwahed e-mail aur internet ke zarye kahi ertebati aur rasmi dawaier khas kar parlement members ko bheje, aur kam se kam unhe apne logon ki taklif aur mushkil se aagah karaya. Isi silsile mein Kabulnath ke webseite ki campaign bhi tawsif ke qabel hai.
15.01.2006
Aese hi ek prathna, path samaphti ke dawran Essen mandir mein Dr. Merzada aur Manohar Lal Lond ne Afghanistan ke halat ka jaeza pesh kiya.
Isi dawran Dr. Merzadah aur Dr. Danesh ne alag alag report post, media, aur internet ke zarye shaya ki jo kahi logon ke asyl cases ko madadgar sabet hoyi. Shri Sunder Makkar ne bhi jo Kabul mein Hindu, Sikh logon ka aankho dekha hal, DVD aur tasawir mein utara tha, kahi mandiron mein dekhaya gaya jo dilchaspi ka baes raha.
22.01.2006
Frankfurt ki verein ke sahebe nazar, ba tajruba log aur jawano ki khwahish par, Verband ne dubara wahan ke legal aur democratic tariqae se election karwaye, jis ka sare hazerin ne esteqbal kiya aur jis ke natije se bahot logon mein ek musarat ki leher daud aayi.
08.02.2006
Dr. Danish ne Köln mein ek jalse mein jo wahan ki Ausländerbeirat ki taraf se bulwaya gaya tha, hazerin ke sawalon ka jawab diya, aur Afghanistan mein Hindu Sikh aqalyat ke problem ko bohut achhe andaz mein bayan kiya.
27.02.2006
Jaise hi is ehm problem se Verband ko fursat mili, ek khsoosi meeting ke dawran faisla huwa ke jitna jaldi ho sake un familion ke liye jo wapas jane ki category mein hai, ek wakil ke sath bat ki jaye. Isi silsilay mein Frankfurt mein ek wakil (Hr. Sprung) ke sath jo abschiebung ke problems mein kahi bar humari madad kar chuka tha bat huwi.
18.03.2006
Ko phir ek general meeting Köln mein bulwayi gayi, jis mein Hr. Sprung ne qarib do ghante abschiebung aur Verband ko slahkarana mashwara dene par roshni dali. Rai aama ke sath faisla huwa ke Hr. Sprung ke sath qaribi taluqat qaiem kiye jaye. Is meeting mein kuch sahebe nazar aur samajh active jaise, Dr. F. Chandhok, shri Eisherdass Dhawan aur shri Shamlal Chopra jaise logon ko bhi bulaya gaya tha.
02.04.2006
Ko phir bhi ek khsoosi meeting ke dawran Verband ke asasname (Gesetz) ke mokhtalef pehlowon par ghaur kiya gaya aur kuch tabdilian lazmi samji gayi.
25.05.2006
Essen ke mandir mein ek general meting bulwayi gayi, jis mein asasname ke kuch article rai aama ke sath tabdil kiye gaye. Isi meeting ke dawran Verbnd ke vorstand ke election bhi huwe, aur ek bar phir Dr. Merzadah, Dr. P. Piassa, Sunder makar, Gianchand Kapoor, Permanand Chawla, aur Wishal Mehra aayanda 4 salon ke liye montkhab huwe. Meeting ke khatme par Hr. Sprung ke mashwre par Verband ke naam ki tabdili ki zaroorat par mobahesa howa, aur (Afghan Hindu Sikh Verband in Deutschland ) ki jagah, (Zentral Rat afghanischer Hindus und Sikhs in Deutschland) ka nam qabul kiya gaya.
03.06.2006
Ko Frankfurt mein ek chauthe ki bethak ke dawran, wahan ki sangat ki darkhwast par Dr. Piasa ne Verband ki taraf se logon ko khetab kiya, aur abschiebung ke naye halat aur Verband ki koshish par roshini dali
15.06.06
Ko Verband ne phir bhi ek khsoosi meeting mein apne mokhtalef masayel par ghaur kiya.
18.06.2006
Ko Sanatan Hari Om mandir Köln mein Asylon ke problemon par ek moshawrati bethak huwi, jis mein Dr. Piassa aur shri Permanand Chhawla ne bhag liya, aur lazmi mashware logon ko diye.
Zentralrat afghanischer Hindus und Sikhs e.V.