.
Home Über uns Vereine und Tempel Projekte Informationen Mitgliederbereich Kontakt Impressum Sitemap

8. TUOHAAR

Hindu humara ek pavitr dharm hai. Jis main Bhagwaan ke prati shradha aur prem Bhakti hai. Isi bhakti bhawna se jude humare bahut se purwaj saanskritik Tuohaar hain.

Hindu Sanaatan Dharm main 33crore Devi Devta hain, jinka pujan har saal bahut Shradha aur bhakti bhawna se kiya jata hai. In Tuohaaron main inki apni hi ek mahatavpuranta bhakti hoti hai .Isi prakaar se humaare bahut se mahatavpurn dharmik Tuohaar jo manobhawna se manaye jate hain. Jinki prashansa main kuch kaha ya kuch likha jaye to woh bhi kam hai.Kyon ki unki aapni hi ek pavitrta hoti hai. Jese ki Lohri, Ganesh Chaturthi, Mahashivratri, Holi, Navratri, Basakhi, Rakshabandhan, Janamashtmi ,Dushehrra, Karvachouth, Deepawali, BhaiyaDooj.

Hum yeh Tuohaar kyon manate hai unpar choti si tipdi(explanation)

Mahashivratri : Is din Shivji Parvatiji ka mel hua tha. Is din log Shivji ka vrat aur us ki pooja karte hain. Yeh vrat satri, purushon ka hota hai. Yeh parv is liye bhi manaya jata hai Kyon ki shivji ne rakshason ke vish se is sansaar ko aur aapne bhakton ko bachaaya. Jisse unka kanth(galaa) nila ho gaya tha. Inhen Nilkanth isi liye kaha jata hai. >eh vrat ek din aur ek raat ka hota hai.

Holi : Holi Rangon ka Tuohaar hota hai. Is main khud hi ek Prasanta aur Jagruta hoti hai. Is din Rakshas Harnakashiyap ka Putra Prahlad jo ki Shri Vishnu ji ke Bhakt the unhen Dand(punishment) diya gaya tha, ki Vishnu ji ki pooja na kare. Unka dand tha ki wohAgni main jalkar Bhasam ho jayen. Harnakashiyap ki Bahan Holika ko yeh wardaan mila tha ki wah Aag se kabhi jalengi nahi Us Rakshas ne Holika ko aadesh diya ki woh Prahlad ko lekar Aagni main bathain, Holika ne esa hi kiya. Lekin wardaan ke hote bhi Holika Jal gayi Prahlad bach gaya . Esa sirf Vishnu ki Bhakti ka Fal tha.Shri Krishan Ko Rang bahut pasand the. Is liye is din Rang gulal se khele jate hain.

Navratri : Navratri saal main do baar aate hai . Is din Maa Durga ki pooja ki jati hai. Maa Durga jo ki sarv shresht devi aur shakti hain. Pehle Navratron main Hindu sanatan dharm ka naya saal gina jata hai. Aur doosre Navratron main Maa Durga ne Nao(9)mah tak bhakti kit hi Rakshason ka naash karne ke liye.Bharav ka kal ban kar wah Dharti par aayin us rakshas Bharav ka kaliyan kiya. Bharav Maa durga ke bhakt ban kar sabhi kashton se mukt ho gaye. Aur tab se Maa Durga aapne bhakton aur bachoon ki manokamna puran karne ke liye isi dharti main seemit ho gayi.inhen isi liye Paharanwali Mata bhi kaha jata hai.

Rakshabandhan :Rakshabandhan main ek aapni hi khoobi hai. Yeh Bhai,Bahan ka atoot bandhan hoto hai. Is din Bahane aapne Bhaiyon ki kalaayi main Resham ki Dor se aapna pyaar bandhati hain. Rakhi Shravan ke mah main aati hai. Is din yeh utsav isliye manaya jata hai, kyon ki is din Guru Brihaspati ji ko Devta Indra aur yama ne (jo ki Indara aur yamuna ke bhai hain)aadesh diya tha ke wah Rakshason(Demon) par Aakramand kare(attack). Guru Brihaspatiji aapni sena ke saath ja rahe the ki Devta Indra ki patni ne unhen Rakhi bandhi ki wah vijaye(win)ho kar loten. Aur tab se yeh Rakshabandhan manaya hai.

Janamashtmi : Yeh Tuohaar Shri Krishan ji ke janam parv main manaya jata hai. Is din inka janam Ratri barah baje hua tha. Isi utsav main raslila aur dhoom se naach hote hain. In ka janam mama Kans ka vadh karne ke liye hua tha.Inki janam bhumi Mathura aur Vrindavan hai. Har mandiron main inke jhoole banaye jate hai.

Dushehrra : Dusshehrra Navratri ke Dasme din manaya jata hai.is din Shri Ram Chandra ji ne Rakshas Lankesh Ravan ka Sarvnaash kiya tha, aur Mata Sita ko Ravan ke Karagar(ked)se mukt karaya tha. Aur Shri Ramji iske 20din bad Ayodhiya Nagri wapis aaye the. Is liye is din Ramlila dikhaayi aur manayi jati hai.

Deepawali : Diwali sab Tuohaaron main se sab se bada Tuohaar hai. Is din log aapne aapne gharon main ghee ke diye jalate hain. Aapne gharon ko Deepak ki roshani se roshan karte hain. Yeh din kushyon ka hota hai. Log aapne Bhai banduon ke ghar ja kar kushiyaan aur Mithanyaan bantte hai. Is din Shri Ram Chandra ji maa sita ke saath 14 saal ka banwaas kaat kar Ayodhiya wapis aaye the. Unke Swaagat ke liye yeh parv utsav ke saath manaya jata. Is din Maa Laxmi ji ki pooja log aapne gharon karte hain. Kahte hain ki is din Mata Laxmiji ka Janam hua tha. Is liye Deepawali wale din Maa Laxmi ji ki Pooja pehle ki jati hai.

Sarika Gandhi

Park-Zanane Kabul Karte Parwan

Deutsche Botschaft in Kabul